Advertisements

Latest News

Contact Form
Wednesday, May 21, 2014

Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay

Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,
Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.
Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,
Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.
Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,
Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.
Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,
Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale.
Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,
Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.
Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,
Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.
no image
  • Title : Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay
  • Posted by :
  • Date : 11:44 PM
  • Labels :

    Share & Comment For Naat Sharif

0 comments:

Post a Comment

Top